Dholki

Dholki

Monday, December 8, 2014

Kali teri choti hai, paranda tera

kali teri choti hai, paranda tera lal ni x2
rup ki o rani too parande ko sambhalani x2
kisi manchale ka tujhpe aa gaya jo dil, hogi badi mushkil x2

maine bhi mushkilo se khelna hai sikha x2
meri bhi tamanna mujhpe aaye dil kisi kaa x2
aashik ka parande nal bandh lungi dil, hogi kaise mushkil x2

daavte deti hai tere gaalo ki yeh lali  x2
ban baitha mera dil tera hi savali
phul nahi gaal damkate hain shole
dhone dhone hi bade dil ke hain bhole

o sholo se lipat ke patange jhumte hai
sholo se lipat ke patange jhumte hai
jal jaye chahe shama ko chumate hain
kisi siraphire ka tujhpe aa gaya jo dil, hogi badi mushkil x2

mar mitne ki tune baat kaise sochi  x2
na too mera mahi na too mera padosi
koyi jo malayi si kalayi tham lega
kya hote hain mahi tujhe pata tab chalega
jayungi tabhi jab mahi dola layega  x2
tere jaisa hath malta hi rah jayega
sajna ke sath mai toh jayungi nikal, hogi teri mushkil x2

kali teri choti hai, paranda tera lal ni x2
rup ki o rani too parande ko sambhalani x2
kisi manchale ka tujhpe aa gaya jo dil, hogi badi mushkil
aashik ka parande nal bandh lungi dil, hogi kaise mushkil

No comments:

Post a Comment